Showing posts with label Hindi Poems. Show all posts
Showing posts with label Hindi Poems. Show all posts

Thursday, November 1, 2012

ज़िंदगी, तेरा साथ.


कामयाबी के लंबे इंतज़ार से उबास हो,
मुक़द्दर मेरा जमुहाई लेकर सोना चाहता था,
खुली आँखों से कल के सपने दिखाकर
इस नाकारा को मैने सोने ना दिया.

वक़्त के थपेड़ों की चोट का मारा
नसीब मेरा ज़ार ज़ार रोना चाहता था,
कुछ खट्टे कुछ मीठे क़िस्से सुनाकर
इस बेसहारा को मैने रोने ना दिया.

हर किसी को यूँ हताश देखकर
खुद का दिल ही मुझसे खोना चाहता था,
हाथ पकड़ा, और खुद के साथ चलाकर
इस आवारा को मैने खोने ना दिया.

Monday, December 12, 2011

Rang De Piya Re Mohe : Color of Love

Painted in red and blue

They say, color of love; once you are colored in love, no other color can leave it’s effect upon you. Being in love is like completely lost in the another world. You go blind. No other color you can see. This poem Rang De Piya Re Mohe, writing a Hindi poem after almost a couple of year, is about a lover who is totally lost in love and now wants to dissolve his soul in the love of beloved and vanish in it to attain integrity with the soul mate. So here is the Rang De Piya Re Mohe

Rang de piya re mohe apne rang me aise,
Rang aur kisi ka mope chadh na sake,
Preet me teri, meri doobe aisi naiyaa,
Meri naov vahan se aage badh na sake.

Tere prem ka pyala peeta rahoon,
Pi pi matwala ho jau
Mujhe itna pyar pila de tu,
Main prem ki madhushala kehlau
Mera hath tham meri shakti ban,
Bhagwan bhi mujhse lad na sake,
Rang de piya re mohe apne rang me aise,
Rang aur kisi ka mope chadh na sake.

Prithvi me dikhe, ambar me dikhe,
Chahun ore disha me mohe tu hi dikhe,
Mai itna pagal ho jau,
Tere siva aur mohe kuch na dikhe
Jis cheez me teri chhavi na base,
Vahan nayan mere kabhi khul na sake,
Rang de piya re mohe apne rang me aise,
Rang aur kisi ka mope chadh na sake.

Glossary: Naiyaa : Boat, Naov : Boat, Chahun : All four (Here in the sense of 'in all four directions'), Chhavi : Reflection



Your valuable comments below:

Sunday, October 31, 2010

Kinaare


Aankhein band karke nazaare dekha karta hu,
Samander ke beech se kinaare dekha karta hu,
Dil se lahoo aankhon se aansu tapakte hain,
Fir bhi khwab sirf tumhare dekha karta hu.

Hamare sawalon ka zawab tum de na sake,
Aur khokar bhi hum tumhe kho na sake,
Mehfilon me muskurana padta hai hamein,
Dil kholkar hum kabhi ro na sake,
Din me bhi aasmaan ke sitare dekha karta hu,
Samander ke beech se kinaare dekha karta hu.

Maana ki har khwahish puri nahi hoti,
Per har khwahish bhi to adhuri nahi hoti,
Agar paas aate na itne hum aur tum,
Darmiyan aaj itni doorie nahi hoti,
Apne dil me jhaank kar daraarein dekha karta hu,
Samander ke beech se kinaare dekha karta hu.



Monday, July 19, 2010

I Miss You, Do You Miss Me Too?

I miss you

Tum bhi mujhe kya itna hi yaad karti ho,
Yadon me meri ek din aur raat karti ho,
Bahut yaad aata hu jab mai tumhe,
To kya meri tasveer se baat karti ho?

Karti hogi yaad kitna rulata tha tumko,
Aur samet kar bahon me chupata bhi tha,
Ruth jaya karta tha tumse mai aksar,
Per tumhare paas aakar manata bhi tha,
Jab bahut man hota tha paas ane ka tumhare,
Rota tha khud aur tumko rulata bhi tha,
Tum bhi kya isi tarah sab kuch yaad karti ho,
Yadon me meri ek din aur raat karti ho?

Kehta tha hamesha tumhare sath rahuga,
Tumhara tha tab aur ab bhi tumhara hi hu,
Khuli ankho se na sahi, band ankhon se dekhho,
Paas tha tumhare aur hamesha paas hi to hu,
Kitna man hota hai ek baar tumhe dekh to lu,
Mehsoos kar ke dekho tumhare aas paas hi to hu,
Tum bhi kya isi tarah khud ko barbaad karti ho,
Yadon me meri ek din aur raat karti ho?



Your valuable comments below:

Sunday, May 30, 2010

Uljhan



Tumhe lekar main badi uljhan mein rahta hu,
Har waqt kyon mein tumhe sochta hu,
Kyon nahi bhul pata main wo bita hua waqt,
Wo bikhre hue panne, wo dher sari yadein,
Tumhe nahi pata mai kitna dard sahta hu,
Tumhe lekar main badi uljhan mein rahta hu.

Tumhe ek khat likhne se pahle,
Sochna padta hai hazaro baar mujhe,
Pata nahi kya samjhogi tum, aur
Ye bhi nahi pata ki jawab likhogi ya nahi,
Ya shayad tum bhi mere khaton ki tarah,
Jawab likhkar jala deti ho aur karti ho,
Koshish un jale hue khaton ki rakh me,
Likhe hue shabd padhne ki..
Pata nahi samjhogi ya nahi per samjhane ki koshish karta hu
Tumhe lekar main badi uljhan mein rahta hu.

Jab tum sulate the mujhe apne dupatte ke tale,
Kitne khush hote the tum jab,
Pyar se kahta tha naam tumhara ek baar,
Aur kaise tadap jate the tum sun’ne ko meri aawaz,
Agar hum nahi batiyate the mahaz ek raat,
Kitna ladte the jhagdte the hum,
Per har baar aa jate the tum paas mere,
Kyonki na door tum rah pate the na main hi,
Jane kaise mahsoos kar lete the mera dard,
Fir mere sath mera dard baat lete the,
Bahut thak ke so jata tha jab main,
Jane kahan se aa jaya karte the sapnon mein batein karne ke liye,
Wo guzra hua pal main bahut yaad karta hun,
Tumhe lekar main badi uljhan mein rahta hu.

Raatein wo bhi yaad hain mujhe,
Jab jaaga karte the hum dono ek sath,
Aur puri raat kiya karthe the guftgu,
Kabhi chale jate the door ek dusre se aur kabhi,
Door reh ke bhi lipat jate the hum dono kabhi kabhi,
Aur lagti tha ki ye sardi ki lambi ratein,
Itni chhoti kyon hoti hain,
Per aaj mujhe tumhare bina jane kyon,
Garmi ki chhoti raein bhi badi lambi lagti hain,
Ye ratein… jagati rahti hain mujhe puri raat,
Aur dilati rahti hain tumhari yaad, bahut sari yaad
Tumhari yadon me puri raat sochta rahta hu
Tumhe lekar main badi uljhan mein rahta hu.


Monday, April 5, 2010

Tum Aur Diary


Jab bhi kabhi likhne baithta hoon
Main hamari is diary mein
Dar lagta hai
Kahin gandey na ho jayein
Panne iske

Aur is dar se, likhne se pahle;
Main apne haath dho leta hoon
Lekin jaldi hi
Dar jata hoon ek baar fir;
Haath dhone ke baad
Ki is tarah toh
Ho jayenge geeley
Panne diary ke hamari
Aur ragadta hoon tauliya
Haathon per apne
Aur baith jaata hoon
Pankhey ke niche
Fir uske baad…

Main apne haathon ke sukhney ka intzaar karta hoon
Kyonki main tumhe aur is diary ko bahut pyar karta hoon.



Your valuable comments below:

Saturday, April 3, 2010

Tired Steps


Meri taqdeer ko mujhse rooth jane do
Hath mera tumhare hathon se chhot jane do
Jis dor se bandha hua hu tumse
Ab wo dor toot jane do
Meri taqdeer ko mujhse rooth jane do

Kaisi ye lagan hai yahan dil me mere
Jalti rahti hai har waqt dil me diye ki tarah
Suboot deta hoon ki ishq ab bhi karta hoon
Ki is patange ko shama pe lut jaane do

Meri taqdeer ko mujhse rooth jane do
Hath mera tumhare hathon se chhot jane do



Friday, March 26, 2010

Come Back


Tum ek baar fir se mere, sirf mere ban jao na
Bahut rula chuke ho mujhe ab aur rulao na
Tum ek baar fir se mere, sirf mere ban jao na.

Janti ho kitna akela rahta hu tumhare bina
Aur rahta hu kitna pareshan
Yaad karta rahta hu har waqt tumko
Aur karta rahta hu masoom batein tumhari
Kitna chahta hu tumko mai mere paas aao na
Tum ek baar fir se mere, sirf mere ban jao na.

Fir se tumhari palkon me sona chahta hu
Aur tumhari bahon me chhup ke rona chahta hu
Karma chahta hu raat bhar guftgu tumse
Aur chahta hu sath muskurana tumhare
Na khud tadpo aur mujhe bhi tadpao na
Tum ek baar fir se mere, sirf mere ban jao na.

Mahsoos kar lo fir se saanson ko meri
Chhoo lo aake fir se dhadkan ko meri
Sula lena fir mujhe chupke se godi me apni
Kam kar ke faasley darmiyan jo hamare
Mere paas aao aur fir kabhi kahin jao na
Tum ek baar fir se mere, sirf mere ban jao na.


Monday, January 25, 2010

Teri Yaadon Mein


Kal ki meri raat gayi hai teri yaadon mein
Shayad meri nind sath gayi hai teri yaadon mein
Bhul baitha hu main palkon ko jhapkana ek pal ke liye
Tasveer jo mujhe nazar ayi hai teri yaadon mein.

Bikhra hua hai sannata
Aur tik tik karti ghari ki suiyan
Khabar nahi hui shab ke guzarne ki mujhe
Tune hi to rukne ko kaha hai teri yaadon mein.

Andhere me kaat li sari raat maine
Aur samajhta raha sath roshni hai
Kya pata tha jo chirag jala rakha hai dil mein
Wo jala hai sirf aurf sirf teri yaadon mein.

Kal ki meri raat gayi hai teri yaadon mein
Shayad meri nind sath gayi hai teri yaadon mein.

Friday, January 8, 2010

Tumhare Liye


GHUM KO DHOOP JO PADEGI KABHI TERE SAYE PER
TUJHE APNI PALKON KE ANCHAL TALE SULA LUNGA
AUR JO KABHI AKELAPAN KATNE KO DAUDEGA TUJHE
TUJHE APNE PAAS MERI BAHON ME BULA LUNGA

LAGAYEGA NAZAR TUJHKO YE ZALIM ZAMANA AGAR
SABKI BURI NAZAR SE BACHA KE DAAMAN ME CHHUPA LUNGA
KHWAHISH KAROGE AGAR CHAND KO BHI PANE KI
CHAND TO KYA SITARON KI SAUGAT DILA DUNGA

KUCH IS TARAH MUHABBAT KARTA HU TUMSE MAIN
TUMHARI KHUSHI KE LIYE KHUD KO KHAK ME MILA LUNGA

Share

Monday, September 21, 2009

Still Alive


Yun mayus nazron se na dekh mere yaar
Mere sine me saans abhi baki hai

Rote ho kyo aaj is qadar mere sahil
Abhi mere bachne ki thodi si aas baki hai

Chhoda nahi humne muhabbat ka teri daaman
Kyo chhaya hai maatam ka aaj kuchh iss tarah aalam
Abhi kyo palkein gili aapne kar li
Tujhe paane ko dil me abhi aag baki hai

Akela chhod na dena kabhi tum ishq ko apne
Adhura tod na dena kabhi tum wadon ko apne
Kyo ja rahe ho door humse o mere humdum
Meri qabar me sulagti rakh abhi baki hai

Yun mayus nazron se na dekh mere yaar
Mere sine me saans abhi baki hai

Rote ho kyo aaj is qadar mere sahil
Abhi mere bachne ki thodi si aas baki hai

Sep-13th, 2009
Share

Saturday, September 5, 2009

Heartache


Hune tumse khushi ki ek boond mangi thi
Tumne ne ghumo se bhara samander de diya
Humne sukoon bhara ek pal manga tha
Meri hansti hui ankhon me dard bhara manzar de diya

Kya khabar thi ye humko thi kya ittila
Jinse ki thi humne anchal ke pahlu ki guzarish
Unhone hi hamari pith me khanzar de diya
Meri hansti hui ankhon me dard bhara manzar de diya
Share

Sookhe Hue Phool



Meri kitabon me rakhe jo murjhaye hue phool hain
Unki bhi apni ek kahani hai…
Mehak tazi hai abhi tak in pattiyon mein
Ye pattiyan to mere dinon ki nishani hain
Kabhi palatne lagta hu waqt ke wo bite panne
Jinme chhupa rakhi hain maine apni tamam yaadein
Ho jati hain mere zehan me taro-taza
Jo baat bahut hi purani hai
Mehak tazi hai abhi tak in pattiyon mein
Ye pattiyan to mere dinon ki nishani hain..

Feb-23rd, 2009
Share

Koshish

Kabhi kabhi mai samajhne ki koshish karta hu
Kitna pyar karte ho aap mujhse
Aur jab bhi apne najariye se dekhta hu
Tumhari ankhon me mujhe beshumar pyar nazar aata hai

Jab bhi mujhe tum tanha kar ke chale jate ho
Aesa lagta hai jaise aapki ye ada ho ek
Mere liye dil me bhare samandar se gahre pyar ko jatane ki
Sochta hu mujhe aur jyada mauke de rahe ho
Apko yaad karne ke aur mujhe tadapne ke

Kabhi kabhi aapko batane ki koshish karta hu
Meri khushiyon ka tumse kitna gahra rishta hai
Wo din jab tak tum sath ho mere
Meri khushiyan mujhe chhod ke kahin nahi jane wali
Per mujhe bahut dar lagta hai
Tumhare jane ke baad
Mujhe meri muskrahtein kaun dega
Wapis lakar mere chehre pe

Per mujhe khushi mahsoos hoti hai
Aapki yaad dilate rahenge mujhe
Meri palkon ko jo ansuon ka tohfa dekar jaoge
Aapki kami mahsoos karata rahuga
Jo akelapan mujhe dekar jaoge
Hamesha mujhe aapki yaad dilata rahega
Ye jo mujhe itna pyar dekar jaoge

Aur main kabhi kabhi nahi
Tumhe har roz aur har pal yaad kiya karuga
Share

Aasan Nahi


Wo bahut kahte hain hame bhula dene ko
Per ye to kabhi batate hi nahi ki
Bhula kar ke unko mai jau kahan
Yadien mitane ko
Unse door chale jane ko
Per unse door chala jaakar ke main jau kahan

Ilm hai ye unko bhi
Aur ilm hai ye humko bhi
Bhulake bhula dena
Yu mumkin nahi
Hai ye aasan nahi

Khwabon ko apne
Sapno ko apne
Kaise mai tod du
Kyo samajhte nahi
Kaise muh mod lu

Agar baat mari ho
To mai door chala jata hu
Apne hi hathon se
Kaise apna dil tod lu

Akele me unki ankhein bhi
Ashkon ki dharon se khelti hongi
Fir bhi humse kahte hai
Zindgi jine ka koi aur
Acha sa bahana dhundh lu

Per shayad unhe ye nahi pata ki…

SEP-04TH, 2009
Share

Wednesday, September 2, 2009

But I Fear



Sometimes there is a fear in my heart to loose you,,

Kabhi kabhi mai samajhne ki koshish karta hu
Kitna pyar karte ho aap mujhse
Aur jab bhi apne najariye se dekhta hu
Tumhari ankhon me mujhe beshumar pyar nazar aata hai

Jab bhi mujhe tum tanha kar ke chale jate ho
Aesa lagta hai jaise aapki ye ada ho ek
Mere liye dil me bhare samandar se gahre pyar ko jatane ki
Sochta hu mujhe aur jyada mauke de rahe ho
Apko yaad karne ke aur mujhe tadapne ke

Kabhi kabhi aapko batane ki koshish karta hu
Meri khushiyon ka tumse kitna gahra rishta hai
Wo din jab tak tum sath ho mere
Meri khushiyan mujhe chhod ke kahin nahi jane wali
Per mujhe bahut dar lagta hai
Tmhare jane ke baad
Mujhe meri muskrahtein kaun dega
Wapis lakar mere chehre pe

Per mujhe khushi mahsoos hoti hai
Aapki yaad dilate rahenge mujhe
Meri palkon ko jo ansuon ka tohfa dekar jaoge
Aapki kami mahsoos karata rahega
Jo akelapan mujhe dekar jaoge
Hamesha mujhe aapki yaad dilata rahega
Ye jo mujhe itna pyar dekar jaoge

Aur main kabhi kabhi nahi
Tumhe har roz yaad kiya karuga

Share

Tera waada


Yaad teri muskurahat laati to hai chehre par
Thodi si; lati haai aansoo jyada
Ab tak na bhula paya chehra tera
Aankhe teri...tera waada.

Share

Someday I will leave you alone


Hum to chale jayenge hamari yaden rah jayengi
Tumhare paas tanha reeten rah jayengi
Thukra to sakte ho haskar muhabbat hamari
Par aansoo tumhare aur hamari baaten rah jayengi
Hum to...
Hamari aankhon se girti barsaten rah jayengi
Khwabon me hone wali julaken rah jayengi
Hame to ghut ghut kar jine ko aadat ho gayi hai
Par tumhari saansen meri dhadkan ke bina...
...chhatpate rah jayengi
Hum to...
Share

Bas Tumhari Yaadein

Sooni hain aankhen meri, sooni hain saansen meri
Sooni hain baaten meri, sooni hain raaten meri
Sooni hai zindgi meri, armaan mere soone hain
Tum bin mera ye jahaan soona hai!!
Sooni hain paken meri, dil ka har kona soona hai mera
Har pal soona hai mera, har din soona hai mera
Har lamha soona hai mera, soona mera har manzar hai
Tere bin sari khushiyan sooni hain!!
Bas tumhari yaadein mere sath hain.
Share

A Heart Broken


ab.. samjhaana nahi chahta
Ab.. batana nahi chahta
Ab.. jataana nahi chahta
Ab main pyar karna nahi chahta
Main.. ab tumhe paana bhi nahi chahta
Main tadapna chahta hoon
Intzaar karna chahta hoon
Zindgi bhar ka intzaar
Jab bhi dil kare
Jab bhi waqt mile
Jab bhi jaroorat mahsoos ho
Yaad kar lena
Hamesha hame apna
Intzaar karte hue hi paaoge.
Share