Monday, July 19, 2010

I Miss You, Do You Miss Me Too?

I miss you

Tum bhi mujhe kya itna hi yaad karti ho,
Yadon me meri ek din aur raat karti ho,
Bahut yaad aata hu jab mai tumhe,
To kya meri tasveer se baat karti ho?

Karti hogi yaad kitna rulata tha tumko,
Aur samet kar bahon me chupata bhi tha,
Ruth jaya karta tha tumse mai aksar,
Per tumhare paas aakar manata bhi tha,
Jab bahut man hota tha paas ane ka tumhare,
Rota tha khud aur tumko rulata bhi tha,
Tum bhi kya isi tarah sab kuch yaad karti ho,
Yadon me meri ek din aur raat karti ho?

Kehta tha hamesha tumhare sath rahuga,
Tumhara tha tab aur ab bhi tumhara hi hu,
Khuli ankho se na sahi, band ankhon se dekhho,
Paas tha tumhare aur hamesha paas hi to hu,
Kitna man hota hai ek baar tumhe dekh to lu,
Mehsoos kar ke dekho tumhare aas paas hi to hu,
Tum bhi kya isi tarah khud ko barbaad karti ho,
Yadon me meri ek din aur raat karti ho?



Your valuable comments below:

2 comments:

A comment is the sign of your valuable presence; please leave one: