Monday, April 5, 2010

Tum Aur Diary


Jab bhi kabhi likhne baithta hoon
Main hamari is diary mein
Dar lagta hai
Kahin gandey na ho jayein
Panne iske

Aur is dar se, likhne se pahle;
Main apne haath dho leta hoon
Lekin jaldi hi
Dar jata hoon ek baar fir;
Haath dhone ke baad
Ki is tarah toh
Ho jayenge geeley
Panne diary ke hamari
Aur ragadta hoon tauliya
Haathon per apne
Aur baith jaata hoon
Pankhey ke niche
Fir uske baad…

Main apne haathon ke sukhney ka intzaar karta hoon
Kyonki main tumhe aur is diary ko bahut pyar karta hoon.



Your valuable comments below:

No comments:

Post a Comment

A comment is the sign of your valuable presence; please leave one: