The world had too much to give and the heart had too much to contain.
Perhaps that’s why ancestors created poetry.
Monday, September 21, 2009
Still Alive
Yun mayus nazron se na dekh mere yaar
Mere sine me saans abhi baki hai
Rote ho kyo aaj is qadar mere sahil
Abhi mere bachne ki thodi si aas baki hai
Chhoda nahi humne muhabbat ka teri daaman
Kyo chhaya hai maatam ka aaj kuchh iss tarah aalam
Abhi kyo palkein gili aapne kar li
Tujhe paane ko dil me abhi aag baki hai
Akela chhod na dena kabhi tum ishq ko apne
Adhura tod na dena kabhi tum wadon ko apne
Kyo ja rahe ho door humse o mere humdum
Meri qabar me sulagti rakh abhi baki hai
Yun mayus nazron se na dekh mere yaar
Mere sine me saans abhi baki hai
Rote ho kyo aaj is qadar mere sahil
Abhi mere bachne ki thodi si aas baki hai
Sep-13th, 2009
Share
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
A comment is the sign of your valuable presence; please leave one: