Saturday, September 5, 2009

Aasan Nahi


Wo bahut kahte hain hame bhula dene ko
Per ye to kabhi batate hi nahi ki
Bhula kar ke unko mai jau kahan
Yadien mitane ko
Unse door chale jane ko
Per unse door chala jaakar ke main jau kahan

Ilm hai ye unko bhi
Aur ilm hai ye humko bhi
Bhulake bhula dena
Yu mumkin nahi
Hai ye aasan nahi

Khwabon ko apne
Sapno ko apne
Kaise mai tod du
Kyo samajhte nahi
Kaise muh mod lu

Agar baat mari ho
To mai door chala jata hu
Apne hi hathon se
Kaise apna dil tod lu

Akele me unki ankhein bhi
Ashkon ki dharon se khelti hongi
Fir bhi humse kahte hai
Zindgi jine ka koi aur
Acha sa bahana dhundh lu

Per shayad unhe ye nahi pata ki…

SEP-04TH, 2009
Share

No comments:

Post a Comment

A comment is the sign of your valuable presence; please leave one: