Sunday, May 30, 2010

Uljhan



Tumhe lekar main badi uljhan mein rahta hu,
Har waqt kyon mein tumhe sochta hu,
Kyon nahi bhul pata main wo bita hua waqt,
Wo bikhre hue panne, wo dher sari yadein,
Tumhe nahi pata mai kitna dard sahta hu,
Tumhe lekar main badi uljhan mein rahta hu.

Tumhe ek khat likhne se pahle,
Sochna padta hai hazaro baar mujhe,
Pata nahi kya samjhogi tum, aur
Ye bhi nahi pata ki jawab likhogi ya nahi,
Ya shayad tum bhi mere khaton ki tarah,
Jawab likhkar jala deti ho aur karti ho,
Koshish un jale hue khaton ki rakh me,
Likhe hue shabd padhne ki..
Pata nahi samjhogi ya nahi per samjhane ki koshish karta hu
Tumhe lekar main badi uljhan mein rahta hu.

Jab tum sulate the mujhe apne dupatte ke tale,
Kitne khush hote the tum jab,
Pyar se kahta tha naam tumhara ek baar,
Aur kaise tadap jate the tum sun’ne ko meri aawaz,
Agar hum nahi batiyate the mahaz ek raat,
Kitna ladte the jhagdte the hum,
Per har baar aa jate the tum paas mere,
Kyonki na door tum rah pate the na main hi,
Jane kaise mahsoos kar lete the mera dard,
Fir mere sath mera dard baat lete the,
Bahut thak ke so jata tha jab main,
Jane kahan se aa jaya karte the sapnon mein batein karne ke liye,
Wo guzra hua pal main bahut yaad karta hun,
Tumhe lekar main badi uljhan mein rahta hu.

Raatein wo bhi yaad hain mujhe,
Jab jaaga karte the hum dono ek sath,
Aur puri raat kiya karthe the guftgu,
Kabhi chale jate the door ek dusre se aur kabhi,
Door reh ke bhi lipat jate the hum dono kabhi kabhi,
Aur lagti tha ki ye sardi ki lambi ratein,
Itni chhoti kyon hoti hain,
Per aaj mujhe tumhare bina jane kyon,
Garmi ki chhoti raein bhi badi lambi lagti hain,
Ye ratein… jagati rahti hain mujhe puri raat,
Aur dilati rahti hain tumhari yaad, bahut sari yaad
Tumhari yadon me puri raat sochta rahta hu
Tumhe lekar main badi uljhan mein rahta hu.


No comments:

Post a Comment

A comment is the sign of your valuable presence; please leave one: