The world had too much to give and the heart had too much to contain.
Perhaps that’s why ancestors created poetry.
Monday, September 21, 2009
Still Alive
Yun mayus nazron se na dekh mere yaar
Mere sine me saans abhi baki hai
Rote ho kyo aaj is qadar mere sahil
Abhi mere bachne ki thodi si aas baki hai
Chhoda nahi humne muhabbat ka teri daaman
Kyo chhaya hai maatam ka aaj kuchh iss tarah aalam
Abhi kyo palkein gili aapne kar li
Tujhe paane ko dil me abhi aag baki hai
Akela chhod na dena kabhi tum ishq ko apne
Adhura tod na dena kabhi tum wadon ko apne
Kyo ja rahe ho door humse o mere humdum
Meri qabar me sulagti rakh abhi baki hai
Yun mayus nazron se na dekh mere yaar
Mere sine me saans abhi baki hai
Rote ho kyo aaj is qadar mere sahil
Abhi mere bachne ki thodi si aas baki hai
Sep-13th, 2009
Share
Saturday, September 5, 2009
Heartache
Hune tumse khushi ki ek boond mangi thi
Tumne ne ghumo se bhara samander de diya
Humne sukoon bhara ek pal manga tha
Meri hansti hui ankhon me dard bhara manzar de diya
Kya khabar thi ye humko thi kya ittila
Jinse ki thi humne anchal ke pahlu ki guzarish
Unhone hi hamari pith me khanzar de diya
Meri hansti hui ankhon me dard bhara manzar de diyaShare
Sookhe Hue Phool
Unki bhi apni ek kahani hai…
Mehak tazi hai abhi tak in pattiyon mein
Ye pattiyan to mere dinon ki nishani hain
Kabhi palatne lagta hu waqt ke wo bite panne
Jinme chhupa rakhi hain maine apni tamam yaadein
Ho jati hain mere zehan me taro-taza
Jo baat bahut hi purani hai
Mehak tazi hai abhi tak in pattiyon mein
Ye pattiyan to mere dinon ki nishani hain..
Feb-23rd, 2009
Koshish
Kitna pyar karte ho aap mujhse
Aur jab bhi apne najariye se dekhta hu
Tumhari ankhon me mujhe beshumar pyar nazar aata hai
Jab bhi mujhe tum tanha kar ke chale jate ho
Aesa lagta hai jaise aapki ye ada ho ek
Mere liye dil me bhare samandar se gahre pyar ko jatane ki
Sochta hu mujhe aur jyada mauke de rahe ho
Apko yaad karne ke aur mujhe tadapne ke
Kabhi kabhi aapko batane ki koshish karta hu
Meri khushiyon ka tumse kitna gahra rishta hai
Wo din jab tak tum sath ho mere
Meri khushiyan mujhe chhod ke kahin nahi jane wali
Per mujhe bahut dar lagta hai
Tumhare jane ke baad
Mujhe meri muskrahtein kaun dega
Wapis lakar mere chehre pe
Per mujhe khushi mahsoos hoti hai
Aapki yaad dilate rahenge mujhe
Meri palkon ko jo ansuon ka tohfa dekar jaoge
Aapki kami mahsoos karata rahuga
Jo akelapan mujhe dekar jaoge
Hamesha mujhe aapki yaad dilata rahega
Ye jo mujhe itna pyar dekar jaoge
Aur main kabhi kabhi nahi
Tumhe har roz aur har pal yaad kiya karugaShare
While Walking
When I fell all alone
I gave you a call from back
To come to me and hold my hand
But you could not hear my scream
Because you had gone next to me
So far away on the track
Of race of life.
I remember my dreams
I had thought for you,
We’ll pass our journey
Together and will make it easy
By sharing our pains,
Our thoughts, our problems
Our tears and our cries.
I remember my dreams
I had thought for you,
We’ll make our life colorful
By sharing our smiles,
Our happy happenings,
Our success and our story.
Why I couldn’t understand ever
Fantasies are fantasies forever
Which live in our heart
Till it stops bouncing on our chest.
And one more thing
Why I couldn’t understand ever
That I was in a flight of
IMAGINATION.
22nd Apr, 09
ShareDistances
We have made between us
Decrease all of them
Still my heart is crying.
Far, apart, away
How much we became
For our mistakes
Our hearts are paying now.
Now all what we have is
Void, loneliness and
A sweet collection of memories
And a calm heart
Filled with pain.
I want us
To be like before
And to forget
All mistakes we have made.
I am sorry
For my anger
For my selfishness
For my decisions
And for
Not keeping my promises
Every night…
When I am abed
And hide my face in pillow
My room is surrounded
With your unforgettable memories,
With every that moment
We spent together
With your charming laugh
You laughed with me
With every light smile
You shared with me
With your flowing tears
i picked in my palm
With your innocent face
Which lives in my eyes.
With your thin fingers
I hold with my fingers
With your rosy lips
I feel warmth on mine
With your long hairs
I feel fragrance into me
With your tight embrace
I find in your arms
With your silent words
I always read in your eyes
With our long talks
Which never let us sleep all night long
With your silly acts
You keep doing with me
And once again
Night goes alive in my eyes.
Aasan Nahi
Wo bahut kahte hain hame bhula dene ko
Per ye to kabhi batate hi nahi ki
Bhula kar ke unko mai jau kahan
Yadien mitane ko
Unse door chale jane ko
Per unse door chala jaakar ke main jau kahan
Ilm hai ye unko bhi
Aur ilm hai ye humko bhi
Bhulake bhula dena
Yu mumkin nahi
Hai ye aasan nahi
Khwabon ko apne
Sapno ko apne
Kaise mai tod du
Kyo samajhte nahi
Kaise muh mod lu
Agar baat mari ho
To mai door chala jata hu
Apne hi hathon se
Kaise apna dil tod lu
Akele me unki ankhein bhi
Ashkon ki dharon se khelti hongi
Fir bhi humse kahte hai
Zindgi jine ka koi aur
Acha sa bahana dhundh lu
Per shayad unhe ye nahi pata ki…
SEP-04TH, 2009Share
Wednesday, September 2, 2009
But I Fear
Sometimes there is a fear in my heart to loose you,,
Kabhi kabhi mai samajhne ki koshish karta hu
Kitna pyar karte ho aap mujhse
Aur jab bhi apne najariye se dekhta hu
Tumhari ankhon me mujhe beshumar pyar nazar aata hai
Jab bhi mujhe tum tanha kar ke chale jate ho
Aesa lagta hai jaise aapki ye ada ho ek
Mere liye dil me bhare samandar se gahre pyar ko jatane ki
Sochta hu mujhe aur jyada mauke de rahe ho
Apko yaad karne ke aur mujhe tadapne ke
Kabhi kabhi aapko batane ki koshish karta hu
Meri khushiyon ka tumse kitna gahra rishta hai
Wo din jab tak tum sath ho mere
Meri khushiyan mujhe chhod ke kahin nahi jane wali
Per mujhe bahut dar lagta hai
Tmhare jane ke baad
Mujhe meri muskrahtein kaun dega
Wapis lakar mere chehre pe
Per mujhe khushi mahsoos hoti hai
Aapki yaad dilate rahenge mujhe
Meri palkon ko jo ansuon ka tohfa dekar jaoge
Aapki kami mahsoos karata rahega
Jo akelapan mujhe dekar jaoge
Hamesha mujhe aapki yaad dilata rahega
Ye jo mujhe itna pyar dekar jaoge
Aur main kabhi kabhi nahi
Tumhe har roz yaad kiya karuga
Tera waada
Yaad teri muskurahat laati to hai chehre par
Thodi si; lati haai aansoo jyada
Ab tak na bhula paya chehra tera
Aankhe teri...tera waada.
Share
Someday I will leave you alone
Hum to chale jayenge hamari yaden rah jayengi
Tumhare paas tanha reeten rah jayengi
Thukra to sakte ho haskar muhabbat hamari
Par aansoo tumhare aur hamari baaten rah jayengi
Hum to...
Hamari aankhon se girti barsaten rah jayengi
Khwabon me hone wali julaken rah jayengi
Hame to ghut ghut kar jine ko aadat ho gayi hai
Par tumhari saansen meri dhadkan ke bina...
...chhatpate rah jayengi
Hum to... Share
Bas Tumhari Yaadein
Sooni hain baaten meri, sooni hain raaten meri
Sooni hai zindgi meri, armaan mere soone hain
Tum bin mera ye jahaan soona hai!!
Sooni hain paken meri, dil ka har kona soona hai mera
Har pal soona hai mera, har din soona hai mera
Har lamha soona hai mera, soona mera har manzar hai
Tere bin sari khushiyan sooni hain!!
Bas tumhari yaadein mere sath hain.
Share
A Heart Broken
ab.. samjhaana nahi chahta
Ab.. batana nahi chahta
Ab.. jataana nahi chahta
Ab main pyar karna nahi chahta
Main.. ab tumhe paana bhi nahi chahta
Main tadapna chahta hoon
Intzaar karna chahta hoon
Zindgi bhar ka intzaar
Jab bhi dil kare
Jab bhi waqt mile
Jab bhi jaroorat mahsoos ho
Yaad kar lena
Hamesha hame apna
Intzaar karte hue hi paaoge. Share
Woh december
Main uss se pahli baar december ke mahine me mila tha to december ke uper ek kavita likhi hai...
Kyon wo December baar baar nahi aata
Kyon unko humpe pyarnahi aata
Iss jahan me hai koi aisa shakhs
Nigahon me meri rahta hai jiska aks
Apni saanso se bhi jyada chahte hain jinko
Kyon unko humpe aitbaar nahi aata
Kyo wo December baar baar nahi aata.
Jab pahli baar mil thi unko aankhon se igaahen
Jiske bin meri bhatki thi raahen
Jinse hum khwabon me milna nahi bhoolte
Unhe kyon karna ijhaar nahi aata
Kyon wo December baar baar nahi aata.
Jinki ek muskurahat ke liye hum umar bhar aansoo baha lenge
Wo khush rahe, humko chahe jitna rula le
Meri zindgi ka har pal ab naam hai jiske
Meri baaho me kyo mera wo yaar nahi aata
Kyon wo December baar baar ahi aata. Share
Aansoo
Magar itna bhi na satao ki jaan nikal jaye
Ye mana ki bahane padte hain ishq me aansoo
Magar itne aasoo bhi na girwao
Ki sare armaan nikal jaye!!
Yaad kar kar ke bahut thak gaya hu main
Fir bhi thakta nahi...
...kyonki yaad kiye bina jee sakata nahi
Mere dil me bas gayi ho iss kadar
Ki aapko yaad kiye bina so sakta nahi
Aapko chhuparakha hai inn aankhon me
Iss dar se ab ro sakta nahi
Chahe le lo meri zindgi apne pyar ke badle
Magar itna na jalao apne pyar me
Ki jite ji hi mere jism se rooh...
...mere meharbaan nikal jaye
Ye mana bahane padte hain ishq me aansoo
Magar...
Regrets
Bhula to doge humko badi aasani se
Par kya bhula sakogi hame apne dil se
Jab kabhi giregi tan par boond baarish ki
Jab kabhi hogi mahsoos garmi sooraj ki tapish ki
Jab kabhi hogi tanha lambi raaton me
Kho jaogi jab kabhi purani yaadon me
Tab tab ham tumhe yaad aayenge
Fir tum socha karoge...
Kaash! wo aa jata.
Par tab tak ham jaa chuke honge bahut door
Ki hum wapis nahi aa payenge tumhare liye
Tab tab apne aap ko paoge bahut majboor
Issliye socho zara
Aisi mazbooriyon se kya fayda
Kisi ka dil dukhane se kya fayda
Khade hain ummid me tumhari raahon me
Aa bhi jaao na muskura kar bahon me...
I will not be the alone one
Nahi yaad rakhna chahte to bhula do
Jee chahe jitna hamko rula lo
Pyar nahi karna chahte to kar lo duriyaan
Par samjhi kabhi tumne meri majburiyaan?
Ho jao tum hamse kitna bhi door
Lekin hum fir bhi khwabon me aate rahenge
Tanha raaton ko rulate rahenge
Samajhti kya ho ki aansoo hum akele bahayenge?
Hum bhi tadpeinge aur tumko bhi tadpayenge
Aakkhon se apni teri yaadein barsaayenge.
Inkaar kar do chahe mujhse
Lekin rah nahi paaoge hamare bina
Aata ahi yakin to dekh lo...
...kar ke inkar
Jahaan itna tadpaya hai, thoda aur tadpa lo
Kyonki tadpana hi seekha hai tumne
Mat bhoolna magar inkar se pahle
Tum bhi tadpoge mere sath iss baar
Tadpa lo, tarsa lo
Ya...
Barsa do apna pyar
Share
Bin Tere
Bin tere dushwar pana hai manzil
Bin tere raste me dum tod jayenge
Bin tere toofano me himmat chhod jayenge
Bin tere ab meri katati nahi raatein
Bin tere yaad aati hain teri har baatein
Bin tere saaye ne bhi saath chhoda apna
Bin tere dil ne bhi chhoda hai dhadkna
Kab aaogi iss dil ko dhadkane
Kab aaogi iss dil ko samjhane
Share
Haal-E-Dil
jab wo hamari taraf dekhte tak nahi
ye to bahana hai iss dil ko samjane ka
warna wo khayalon me bhi hame sochte tak nahi.
wo muskurate rahe, hum ghum chhupate rahe
jab kabhi yaad aayi unki iss dil ko samjhate rahe
hum raah takte rahe wo to hanste rahe
hamare dil ki kabhi unko khabar tak ahi
hum to jaan lete hain u.ke dil tak ka haal
per hamare aansuo se unko asar tak nahi,
haal-e-dil kagaz pe likhne se kya fayda
jab wo hamari taraf dekhte tak nahi.Share
Hope
Per kabhi savera to hoga,
Ho gayi hai sham meri zindgi me
Per kabhi ddor ye andhera to hoga.
Ab tujhse yahi iltiza hai o khuda
Mat rakhna ab hame aur juda,
Aur judai hum ab sah ahi payenge
Pyar me tere dum tod jayenge,
Yun hi kab tak jiyenge yadon ke dum se
Zindgi veeran hua hai tere ghum se,
Baharein chhotati gayi kaante aate gaye
Khushiyan khilti gayi gulshan murjhate gaye,
Agar tumko bhi hai mujhse pyar...
Karna thoda sa aur intzaar
Jaldi hi aaunga o mere yaar.
Share
Way of life is difficult without you
zindgi ka safar itna asaan nahi
tanha kate nahi katata main kya karu
dard sahne ki koshish bahut ki magar
ankhon ka ghum nahi chhupta main kya karu
zindgi ka safar itna asaan nahi
tanha kate nahi katata main kya karu...
bhatki rahon me tumko tha dhoondha bahut
waqt ke panno me pane ki koshish bhi ki
fir bhi tanha ka main tanha hi rah gaya
guzra kal wapis nahi aata main kya karu
zindgi ka safar itna asaan nahi
tanha kate nahi katata main kya karu...
dinashi hai koi mera lakhte zigar
marta hai koi unpe na unko khabar
ankhon se kahne ki humne koshish to ki
lab hamare rahe chup hi main kya karu
zindgi ka safar itna asaan nahi
tanha kate nahi katata main kya karu
dard sahne ki koshish bahut ki magar
ankhon ka ghum nahi chhupta main kya karu
21 Dec, 08Share
The Unknown Girl
Woh anjaan ladki
jiski ek nazar
mere dil ke kore kagaz par
kheech gayi kuchh lakeerein
kuch aiesi lakeerien
jinhe chah kar bhi
bhulaya nahi ja sakta
mitaya nahi ja sakta
anjani, ajnabi si
woh anjaan ladki.
bhure balon wali
jisne mujhe dekha to ek baar
fir bhi laga yun
jaise...
ussne kuchh dekha hi na ho...
...dekh kar bhi sab kuchh
pyari si, bholi bhali
woh anjaan ladki.
jisse dekh kar mere dil ki
thahri hui hasraton ne
li ek mithi si angdai
hue mere armaan jawan
machi kuchh halchal
iss sune dil mein
masoom si muskurahat wali
woh anjaan ladki.
jisske bina chehra mera
hai shant, chupchap
thande kafan sa dafan
per dil me ufanta hai dariya
naino se bahti hai nadi
chahte hai didar karna
jiska mere naina...
...bas ek baar
mujhe tadpata
tarsata chhodkar jane wali
woh anjaan ladki.
hai wo mere liye anam
par fir bhi
usse yaad kiye bina
aati nahi hai neend
aur...
jab aati bhi hai to
aaker khadi ho jati hai mere saamne
unn mithe khwabon me
aur kahti hai
apni ussi
dhimi mithi aawaz me
'i love you too'
tab tootti hai meri neend
aur nahi pata hu usse kahin
aas-paas, door door tak
fir, ek bar fir
hoene lagti hai barish
meri pyasi aankhon se
fir bhi nahi samajhti mera haal
woh anjaan ladki.
Jan, 2007