Wednesday, September 2, 2009

Woh december


Main uss se pahli baar december ke mahine me mila tha to december ke uper ek kavita likhi hai...

Kyon wo December baar baar nahi aata
Kyon unko humpe pyarnahi aata
Iss jahan me hai koi aisa shakhs
Nigahon me meri rahta hai jiska aks
Apni saanso se bhi jyada chahte hain jinko
Kyon unko humpe aitbaar nahi aata
Kyo wo December baar baar nahi aata.
Jab pahli baar mil thi unko aankhon se igaahen
Jiske bin meri bhatki thi raahen
Jinse hum khwabon me milna nahi bhoolte
Unhe kyon karna ijhaar nahi aata
Kyon wo December baar baar nahi aata.
Jinki ek muskurahat ke liye hum umar bhar aansoo baha lenge
Wo khush rahe, humko chahe jitna rula le
Meri zindgi ka har pal ab naam hai jiske
Meri baaho me kyo mera wo yaar nahi aata
Kyon wo December baar baar ahi aata.
Share

No comments:

Post a Comment

A comment is the sign of your valuable presence; please leave one: