Wednesday, September 2, 2009

Way of life is difficult without you


zindgi ka safar itna asaan nahi
tanha kate nahi katata main kya karu
dard sahne ki koshish bahut ki magar
ankhon ka ghum nahi chhupta main kya karu
zindgi ka safar itna asaan nahi
tanha kate nahi katata main kya karu...
bhatki rahon me tumko tha dhoondha bahut
waqt ke panno me pane ki koshish bhi ki
fir bhi tanha ka main tanha hi rah gaya
guzra kal wapis nahi aata main kya karu
zindgi ka safar itna asaan nahi
tanha kate nahi katata main kya karu...
dinashi hai koi mera lakhte zigar
marta hai koi unpe na unko khabar
ankhon se kahne ki humne koshish to ki
lab hamare rahe chup hi main kya karu
zindgi ka safar itna asaan nahi
tanha kate nahi katata main kya karu
dard sahne ki koshish bahut ki magar
ankhon ka ghum nahi chhupta main kya karu
21 Dec, 08
Share

No comments:

Post a Comment

A comment is the sign of your valuable presence; please leave one: