Wednesday, September 2, 2009

Haal-E-Dil

haal-e-dil kagaz pe likhne se kya fayda
jab wo hamari taraf dekhte tak nahi
ye to bahana hai iss dil ko samjane ka
warna wo khayalon me bhi hame sochte tak nahi.
wo muskurate rahe, hum ghum chhupate rahe
jab kabhi yaad aayi unki iss dil ko samjhate rahe
hum raah takte rahe wo to hanste rahe
hamare dil ki kabhi unko khabar tak ahi
hum to jaan lete hain u.ke dil tak ka haal
per hamare aansuo se unko asar tak nahi,
haal-e-dil kagaz pe likhne se kya fayda
jab wo hamari taraf dekhte tak nahi.
Share

No comments:

Post a Comment

A comment is the sign of your valuable presence; please leave one: